Aa BhI JA SaNAm > Fun Zone > The Poetry Zone
Meray Sabar Ka Na Lay Imtehan
Page 1 / 1
Meray Sabar Ka Na Lay Imtehan
01/24/2011 12:15 am

Moderator
Administrator
NEWBIE


Regist.: 01/24/2011
Topics: 2
Posts: 0
OFFLINE
Meray Sabar Ka Na Lay Imtehan
Meri Khamoshi Ko Sada Na Day
Jo Teray Baghair Na Jee Sakay
Usay Jeenay Ki Tu Dua Na Day,

Tu Azeez Dil-o-nazar Say Hai
Tu Qareeb Rag-o-jan Say Hai
Meray Jism-o-jan Ka Yeh Faasla
Kaheen Waqt Aur Barha Na Day,

Tujhay Bhool K Na Bhula Sakoon
Tujhay Chah K Bhee Na Paa Sakoon
Meri Hasraton Ko Shumaar Kar
Meri Chahaton Ka Sila Na Day,

Wo Tarap Jo Shula-e-jan Main Thi
Meray Tann Badan Say Lipat Gayi
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay
Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,

Tujhay Agar Milain Kabhi Fursatain
Meri Sham Phir Say Sanwaar Day
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar
Yun Judaiyon Ki Saza Na Day!!
Yun Judaiyon Ki Saza Na Day
................

Sweetheart, I was born the day I met U….

and died the day U left me…
Quote   
Page 1 / 1
Login with Facebook to post
Preview